sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī sunā...
poetry in Urdu, poetry sad, poetry love, poetry about life, poetry about love, poetry about friendship, poetry about rain, poetry about life in Urdu, poetry about love in Urdu, poetry best, poetry by heart, poetry collection, poetry deep, poetry emotional, poetry for friends, poetry for best friend, poetry ghazal, poetry heart touching, poetry heart broken