Chalo tum ko batate hain
Chalo tum ko batate hain


Chalo tum ko batate hain

Kay tum ko daikh kar dil nay

Kaha tum rishta-e-jaan say bhi barh kar ho

Dua ki sarhadon par

Jo ik adhoori hai mairi aisi tamanna ho

Mairay dil ka muqaddar ho

Kay tum ik roshni ban kar shifa le kar

Kabhi dast-e-maseeha ki tarha

Utray huye har zakhm-e-dil par ho

Chalo tum ko batatay hain

Kay tum eemaan hamaara ho

Siraaye dehar main andesha-e-zindgani main

Tum hi dil ka sahaara ho

Jo rooh ke aasman pay jagmagaya hai mohabbat say

Suhaani shaam ki chahaton ka pehla taara ho

Wafa ka isteaara ho

Tumhaaray qurb ki khushboo say pathhar ki tarha ham nay

Sulagti dhoop main phailaao paaya hai

Tumhaaray pyar kay rangeen kanwal thandi hawa say sarsaraatay hain

Ham saawan main bheegay pairron ko choo lain to

Tumhaaray lams ki khushboo kay lamhay jagmagatay hain

Chalo tum ko bata tay hain

Kay ham nay zindagi kay sab warq lay karr

Sab hi satron main likh li hai tamanna tum ko paanay ki

Zamanay bharr main shayad katib-e-taqdeer kay haathon

Mairay dill nay likh li hai tumhaari chah ki khuwahish

Tumhaari aarzooun ka jo ik idraak hai mujh main

Kissi main ho nahin Sakta

Tumhaari muskurahat ka ik armaan hai mujh main

Kissi main ho nahin sakta

Chalo tum ko bata tay hain