Pehle jaisi baat naa rahi |
chaahte to hum aaj bhi hai kisi ko jaan se badh ke,
par shaayad us chaahat me pehle jaisi baat na rahi,
mil lete hain kai chehron se mehfilon me hum aksar,
shayad ab pehli jaisi haseen koi mulaaquaat na rahi,
yun to safar me zindagi ke kai log mile kai bichhde,
maanga tha jinka saath kabhi wo mere saath na rahi,
har raat khwaabon me chehra kisi ka hota tha kabhi,
raat khwaab me mere aajaayen wo haseen raat na rahi,
mahal khadaa kiya tha humne apne armaano ka ret se,
toofaan me wo dheh gaya, baaki koi bhi baat na rahi,
maangte the kabhi kisi ko apni duwaaon me hum aksar,
par kaise bataaun ki wo surat mujhe ab yaad na rahi...
0 Comments
Thanks for comment.