Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta
Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta

ہ شخص کہ میں جس سے محبت نہیں کرتا

ہنستا ہے مجھے دیکھ کے ، نفرت نہیں کرتا




گھر والوں کو غفلت پہ سبھی کوس رہے ہیں

چوروں کو مگر کوئی ملامت نہیں کرتا




دیتے ہیں اجالے مرے سجدوں کی گواہی

میں چھپ کے اندھیروں میں عبادت نہیں کرتا




بھولا نہیں میں آج بھی آداب جوانی

میں آج بھی اوروں کو نصیحت نہیں کرتا




دنیا میں قتیل اس سا منافق نہیں کوئی

جو ظلم تو سہتا ہے بغاوت نہیں کرتا

Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta,
Hansta Hai Mujhe Dekh Kar, Nafrat Nahi Karta,

Pakra He Gaya Hon Tu Mujhe Daar Per Khincho,
Saccha Hon Magar Apni Wakalat Nahi Karta,

Kiun Bakhsh Dia Mujh Se Gunahgaar Ko Moula,
Mansaf Tu Kisi Se Bhi Riayat Nahi Karta,

Kis Qoum Ke Dil Main Nahi Jazbaat-e-Ibrahim,
Kis Mulk Pe Numrood Hukumat Nahi Karta,

Daitain Hain Ujalay Mere Sajdoon Ki Gawahi,
Main Chup Ke Andheron Main Ibadat Nahi Karta,

Duniya Main Qateel, Us Sa Munafiq Nahi Koi
Jo Zulm Tu Sehta Hai, Bagawat Nahi Karta