Skip to main content

Posts

tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do

Tumhain jab kabhi milain fursatain,mere dil se bojh utaar do Main bohat dino se uddas hon mujhay koi shaaam udhaar doo Mujhay apnay rooop ke dhoop do k chamak sakain mere khal-o-khad Mujhay apnay rungg main rungg do,mere saray zungg utar dooo Kisi or ko mere haaal se na gharaz hai na koi wastaaa Main bikher gaya hon sameet lo,main biger gaya hon sanwar doo Mere wehshaton ko berha diya judaiyon kay azaaaaab nayy Mere dil pe haath rakho zara, mere dherkanoo ko qarar doo Tumhain subha kaise lagi kaho,mere khwaishon kay dayar kee Jo bhali lagi to yahen rahoo , isay chahaton se nikhaar dooo Wahan gher main kon hai muntazir kay fiker ho dair sawair kee Bari mukhtasir see ye raaat hai isay chandniii main guzaar doo Koi baaat kerni hai chaand say kisi shaakhsaar kee ooot main Mujhay raastay main yahen kahen kisi kunj-e-gull main utaar dooo ! tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do تمھیں جب کبھی ملیں فرصتیں مرے دل سے بوجھ اتار د...

sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ

sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ  sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ  so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ  sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se  so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ  sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī  so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ  sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf  so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ  sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ  ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ  sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai  sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ  sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ  sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ  sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ  sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ  sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī  sunā...

Tere Haath Banaon Pencil se

Tere Haath Banaon Pencil se تیرا ہاتھ بناؤں پینسل سے اس ہاتھ پر اپنا ہاتھ رکھوں کچھ الٹا سیدھا فرض کروں کچھ سیدھا الٹا ہو جائے میں آہ لکھوں تو ہائے کہے میں ہائے لکھوں تو بے چین ہو جائے میں "ع" لکھوں تو سوچے مجھے میں "ش" لکھوں تیرا شوق بڑھے میں "ق" لکھوں تجھے کچھ کچھ ہو میں "عشق" لکھوں تجھے ہو جائے Tere Haath Banaon Pencil se Phir Haath Pe Tere Haath Rakhun Kuch Ulta Seedha Farz Karun Kuch Ulta Seedha Hojae Main "Aah" Likhun Tu "Hayee" Kare "Be Chain" Likhun "Be Chain" Ho Tu Phir mein "Be Chain" ka Be Katun Tujhe Chain Zara Sa Hojae Abhi "ع" Likhun Tu Soche Mujhy Phir "ش" Likhun Teri Nind Ure Jab "ق" Likhun Tujhe Kuch Kuch Ho Mein "عشق" Likhun Tujhe Hojae.!

Dill Ko Her Lamha Bashate rahe jazbat se hum

Dill Ko Her Lamha Bashate rahe jazbat se hum Dill Ko Her Lamha Bashate rahe jazbat se hum Itne majboor rahe hein kabhi halat se hum Nasha Mein se khain piyaas bujhe he dill ki tashangi or barha lai kharajat se hum aj to mil ke bhe jaise na mile hon tujh se chonk uthte the kabhi tere mulawat se hum  ishq mein ajj bhe hein neim nagahi ka chalan pyar kerte hein ise hasn e rawayat se hum

Mohabbat Kya Hy Yeh Jana...

Mohabbat Kya Hy Yeh Jana... Mohabbat Kya Hy Yeh Jana... Chalo Tum Ko Btatai Hun.... Jahan tak Main Samajh Pai... Wahan Tak Hi Btati Hun... Mohabbat Aasmano Sy Utarti Aik Ayat Hy... Mery RAB Ki inayat Hy.... Kahin Ly Jaye Moosa Ko.... Tajali Rab Ki Dikhlaye... Kahin Mehboob Ko Arshon Py... Apny RAB Sy Milwaye... Kahin Sooli py Charhati Hy... Kisi Mansoor Sarkash Ko... Kahin Yeh Baith K Roti Hy... Phir Shabeer Be Kas Ko.... Laga Kar Aag Pani Main... Hawa Main Zehar Gholy Gi... Kary Gi Raqs Sholon par... Magar Kab Bhaid Kholy Gi... Kahin Ye Airian Ragry.... To Zam Zam Phoot Party Hain... Nazar Kar Dy Jo Pathar Par.... To pathar Toot Sakty Hain... Kahin Yeh Qais Hoti Hy.. Kahin Farhad Hoti Hy.... Kahin Sar Sabz Rakhti Hy... Kahin Barbaad Hoti Hy.... Kisi Raanjhy Ki Qismat Main... Likhi Uk Heer Hoti Hy.... Yeh Bas T...

TUM NE POOCHA HAI CHALO TUM KO BATA DETE HAIN.

TUM NE POOCHA HAI CHALO TUM KO BATA DETE HAIN. TUM NE POOCHA HAI CHALO TUM KO BATA DETE HAIN. JO HUM PE GUZRI HAI TUM KO B BATA DETE HAIN. TERE BAAD HAMEIN KHUD PE B AITBAR NAHI. LAFAZ LIKHTEY HAIN LIKH KER MITA DETE HAIN. NAMI AANKHON Me LIYE LAGON SE KABHI HANS LAIN. TO ESA LAGTA HAI K KHUD KO SAZA DETE HAIN. TERI YAAD SE IK PAL Bhi GHAFIL NA RAHE. YOUN Hi DIL K BEHAL JANE KO BHULA DETE HAIN. HUM NE HANS K TERY SATH GUZARAY THAY KABHI. YAAD ATAY HAIN JO WO PAL TO RULA DETE HAIN...!

Chalo tum ko batate hain

Chalo tum ko batate hain Chalo tum ko batate hain Kay tum ko daikh kar dil nay Kaha tum rishta-e-jaan say bhi barh kar ho Dua ki sarhadon par Jo ik adhoori hai mairi aisi tamanna ho Mairay dil ka muqaddar ho Kay tum ik roshni ban kar shifa le kar Kabhi dast-e-maseeha ki tarha Utray huye har zakhm-e-dil par ho Chalo tum ko batatay hain Kay tum eemaan hamaara ho Siraaye dehar main andesha-e-zindgani main Tum hi dil ka sahaara ho Jo rooh ke aasman pay jagmagaya hai mohabbat say Suhaani shaam ki chahaton ka pehla taara ho Wafa ka isteaara ho Tumhaaray qurb ki khushboo say pathhar ki tarha ham nay Sulagti dhoop main phailaao paaya hai Tumhaaray pyar kay rangeen kanwal thandi hawa say sarsaraatay hain Ham saawan main bheegay pairron ko choo lain to Tumhaaray lams ki khushboo kay lamhay jagmagatay hain Chalo tum ko bata tay hain Kay ham nay zindagi kay sab warq lay karr Sab hi satron main likh li...