Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain Hazaron Mausamon...