Skip to main content

Posts

Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise

Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise Tere Lamhon Ne Mere Barson Ki rafaqat Cheeni Aaj Ek Or Baras Beet Gaya Uske Bagair Jis Ke Hote Howe Hote Thai Zamane Mere Ek Ajnabi Ke Hath Mai Dekar Hamara Hath Lo Sath Chorne Laga Akhir Ye Saal Bhi Mujh se Bichar Gaya Jo Guzry Saal ki Tarha, Is ka Bhi Haal ho ga Mere Haal ki Tarha, Aya Nahi Wo Reh gaye Rasty Sajy huwe, Ye Saal Bhi Guzar Gaya Her Saal ki Tarha Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Pas Aye KHUDA Kare Naya Saal Sab Ko Raas Aye

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain Rangeen Fizain Ab Bhi Hain We Bheege Bheege Pani Ki Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun Aur Dil Apna Sulgata Hun Ab Tum Nahi Hote Sath Mere Aur Hote Hain Khali Haath Mere Pur Shor Sadain Poochti Hain Wo Sard Hawain Poochti Hain Wo Kahan Gaya Sathi Tera? Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya? Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye  

December Phir Udaas Hai

Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak.. Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai. Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai. Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai.. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai.. Baat Toh Kare Koi, Saath Toh Chale Koi, Khaamoshi Ka Pehra Hai Zakhm Dil Ka Gehra Hai Kisi Bahut Apne Ki Ab Mujhe Talaash Hai. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai  

DECEMBER JAB BHI AATA HAI

DECEMBER JAB BHi AATA HAi wo pagli phir se beetay mosam ko yad krti hai Purane cards parhti hai Ke jis main Usne likha tha Mai LOTOON GA DECEMBER Mai Naye kaprey baNati hai wo sara ghar sajati hai DECEMBER ke har aik diN ko wo giN gin kar bitati hai junhi 15 guzarti hai wo kuch kuch toot jati hay magar phir b poraNi albums ko khol ker maazi ko bolati he Nahi maloom ye oss ko K beete waqt ki khoshiyaaN bohot takleef deti haiN mehiz dil ko jalati haiN yooN hi diN beet jate haiN DECEMBER lot jata he magr wo khosh feham larki dobara se caleNdar maiN DECEMBER k mahiNe k safey ko mor ker phir se DECEMBER k sehar maiN dob jati he k akhir os Ne likha tha MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise Jaagte-Jaagte Ik Umr Kati Ho Jaise Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise Har Mulakaat Pe Mehsoos Yahi Hota Hai Mujhse Kutch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise Raah Chalte Hue Aksar Ye Gummaan Hota Hai Vo Nazar Chup Ke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyun Ka Safar Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise Is Tarah Pehroo.N Tujhe Soochta Rehta Hoon Main Meri Har Saans Tere Naam Likhi Ho Jaise

Kaho To Laut Jate Hain

Kaho To Laut Jate Hain Abhi To Baat Lamhon Tak He Saalon Tak Nahi Aai Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai Abhi To Gard Peroon Tak Hay Baalon Tak Nahi Aai Kaho To Laut Jate Hain Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai Kaho To Lout Jatan Hain Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni Kaho To Lout Jatay Han Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han. Ye Rasta Piyar Ka Rasta, Rasan Ka Daar Ka Rasta, Bohat Dushwar He Jaana Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana. Kaho To Lout Jatay Hain Maray Baray Na Kuch Socho Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Daar Ka Rasta Ye Asaiboon Bhara Rasta Ye Andhi Ghaar Ka Rasta T...