Skip to main content

Posts

Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye

Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai Jo Kal Sirf Mera Tha Aaj Paraya Kyun Hai Jiske Taksh Ne Jala Diya Mere Jazbon Ko Wo Anso Meri Ankh Mai Aya Kyun Hai Mere Andar To Zabt Ka Pahaar Howa Karta Tha Phir Ye Shikwa Meri Zuban Par Aya Kyun Hai Jis Ko Mai Bhool Jane Ka Soch Kar Hi Mar Jaon Usne Khud Ko Na Mera Keh Kar Daraya Kyun Hai Tu Jo Ishara Kare To Jaan Bhi Hazir Hai Meri IS baat Ko Hans Kar Usne tala Kyun Hai

Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do

  Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do Mai kHud hi Loat Jaongi Mujhe Nakaam Hone Do Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf e Shikast Mai Tasleem Karlongi Mujhe Nakaam Hone Do Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakti Wafayen Bech Lena Par Zara Nelaam Hone Do Naye Aghaz Mai Hai Hosla Kyun Tor Bethe Ho Tum Sab Kuch Jeet Jaogay Zara Anjam Hone Do